اِلٰہی بَحقِ حضرت محیٰ … – ؒدم میراں لعل پاک بھا و ل شیر قلندر
Menu

اِلٰہی بَحقِ حضرت محیٰ …

اِلٰہی بَحقِ حضرت محیٰ الدین ؓ،
جگر نبیﷺ اَست ثابت یقین

The 1st Of Ramadan Marks The Auspicious Birth Anniversary Of As Shaykh Al-Sayyid Muhiyudin Abu Muhammad Abdal Qadir Al Jīlānī Al Baghdādī Al-Hasani Wal-Hussaini (Radiy Allāhu Anhum).

Ya Ghous Al-Aʿzam Sayyid Abd Al-Qādir Jīlānī Baghdādī.

The Noble Saint Was Referred To As Abu Muhammad, Muhiyyuddeen, Ghaus-E-Azam, Ghaus-E-Paak And Ghaus E Piya (Radiy Allāhu Anhum). He Is Undoubtedly A Tarafain Sayyid (Being A Descendant Of Amīr Al-Muʾminīn Imām Ḥasan Ibn ʿAlī (Alaih As-Salām) & Amīr Al-Muʾminīn Imām Ḥusayn Ibn ʿAlī Ibn Abi Thalib (Alaih As-Salām). His Family Tree Reaches Amīr Al-Muʿminīn Imām ʿAlī Ibn Abī-Ṭālib (Alaih As-Salām) From His Father Through 14 Generations And Through His Mother By 12 Generations.

His Family Lineage Is Believed To Be In Its Simplest Form As Follows :

Hazrat Muhammad E Mustafa (Salalahu Ahlayhi Wa Ahlihi Wa Salam)

Wa Sayyidah Nisa Al Aalameen Fathima Tu Zahra Wa Sayyiduna Ali Ul Murtaza (Alayhi Salaam Wa Salaamun Ahlayha)

Shaheed E Karbabalah Imam E Husayn Paak Wa Sayyiduna Imam Hassan, Ibn E Ali Al Mujatabah (Alayhi Salaam)

Wa Sayyiduna Imam Zainul Abedeen Wa Sayyid Hassan Mathni

Wa Imam Muhammad Al Baaqir Un Sayyid Abdul Mahdh

Wa Sayyiduna Imam Jaafar Al Saadiq Wa Sayyid Moosa Al Jawn

Wa Sayyiduna Imam Moosa Al Kaazim Wa Sayyid Abdullah Thaani

Wa Sayyiduna Sheikh Ali Raza Wa Sayyid Moosa Thaani

Wa Sayyid Aboo Ala’ud’deen Wa Sayyid Dawood

Wa Sayyid Kamaalud Deen Esa Wa Sayyid Muhammad

Wa Sayyid Abul Ataa Abdulla Wa Sayyid Yahya Az Zaahid

Wa Sheikh Sayyid Mahmood Wa Sayyid Abi Abdillah

Wa Sayyid Muhammad Sayyid Abu Saaleh Moosa (His Beloved Father)

Sayyid Aboo Jamaal

Sayyid Abdullah Soomee

Sayyidah Shariffah Ummul Khair Faatima (His Beloved Mother)

Sayyiduna Muhiyyud Deen Abu Muhammad Adul Qaadir Jilaani Al Hassani Wal Husayni (Radiy Allāhu Anhum).

The 11 Exalted Names Of Sultan Al-Awliya Sayyiduna Muhiyyud Deen Abu Muhammad Adul Qaadir Jilaani Al Hassani Wal Husayni (Radiy Allāhu Anhum).

سید محی الدین سلطان رضی اللہ تعالی عنہ
1. Sayyid Muhiy’yud’deen Sultaan (Radia Allahu Anhu).

محی الدین قطب رضی اللہ تعالی عنہ
2. Muhiy’yud’deen Qutub (Radia Allahu Anhu).

محی الدین خواجہ رضی اللہ تعالی عنہ
3. Muhiy’ud’deen Khwaja (Radia Allahu Anhu).

محی الدین مخدوم رضی اللہ تعالی عنہ
4. Muhiy’yud’deen Makhdoom (Radia Allahu Anhu).

محی الدین ولی رضی اللہ تعالی عنہ
5. Muhiy’yud’deen Wali (Radia Allahu Anhu).

محی الدین بادشاہ رضی اللہ تعالی عنہ
6. Muhiy’yud’deen Baadshah (Radia Allahu Anhu).

محی الدین شیخ رضی اللہ تعالی عنہ
7. Muhiy’yud’deen Shaykh (Radia Allahu Anhu).

محی الدین مولانا رضی اللہ تعالی عنہ
8. Muhiy’yud’deen Mawlana (Radia Allahu Anhu).

محی الدین غوث رضی اللہ تعالی عنہ
9. Muhiy’yud’deen Ghawth (Radia Allahu Anhu).

محی الدین خلیل رضی اللہ تعالی عنہ
10. Muhiy’yud’deen Khalil (Radia Allahu Anhu).

محی الدین رضی اللہ تعالی عنہ
11. Muhiy’yud’deen (Radia Allahu Anhu).

HAZRAT GHOUS UL AZAM SHAIKH SYED ABDUL QADIR JILLANI (RA)

AOOSAF-E-JAMEELA

Hazoor Daftar-E-Ahl-E-Eman, Muqaddam Ashab-E-Irfan, Maadan-E-Sidq-O-Sifa, Khazeena-E-Hikm-O-Haya, Afzal-Ul-Auliya, Sultan-Ul-Asfia, Malik-E-Mulk, Murrawat-E-Khursheed, Sab-Bhair Fatoot, Mazhar-E-Izz-O-Kamal, Shahid-E-Zul-Jalal, Maqrab-E-Bargah-E-Ahdiyat, Muqaddas Dargah-E-Samadiyat, Ajla Arbab-E-Wilayat, Gohar-E-Kan-E-Hidayat, Mehboob-E-Subhani, Qutb-E-Rabbani, Ghous-Ul-Samdani, Mashooq-E-Haqqani, Matloob-E-Yazdaani, Arif-E-Laasani, Hazrat Syed Sultan Makhdoom Shaikh Abdul Qadir Mohi Uddin Al Hassani Al jillani (R.A).

Ap (R.A) kamal- auliya Ahl-e-bait nabviya wa aazam saadat-e-hasniya say hain. Khirqa-e-khilafat wa irshad Hazrat Qazi Shaikh Abbu saeed Maslah uddin Mubarak bin Ali Al makhzoomi (R.A) say hasil kya tha.

Naam-O-Kuniyat:

Ap (R.A) ka naam Abdul Qadir kuniyat Abu Muhammad alqaab girami Mohi Uddin Mehboob-e-Subhani Ghous ul Saqlain wagera thay.

Tareekh-E-Wiladat:

Ap (R.A) ki wiladat ba saadat ba waqt yek shumba (Barooz itwaar) ba tareekh yakum Ramzan Ul Mubarak 470 hijri ba mutabiq 1078 iswi hain. Ba muqaam Geelaan hoi or Ap (R.A) ki paidaish aaz kisam khireq adat hoi. Ku kay Ap (R.A) ki walida Mohtarma ki umar us waqt 60 saal thi. Kitab ul rooz ul zaahir kay musannif nay likha hai kay Ap (R.A) muqaam-e-jeel ki taraf mansoob hain jisay GEEL-O-GEELAN bhi kahtay hain.

Taleem-o-Tarbiyat:

Ap (R.A) wali paidaishi thay. Bachpan main hi walid buzurgwar ka saya shafqat sir say uth gia. Walida majida ki aghoosh main tarbiyat paai. Shoro say hi Ap (R.A) ki tabiyat mashaaghil-e-duniya say kinara kash thi. Or ager kabhi bachpan main bachoon kay sath khailna chahtay to gaib say awaz aati “ idhar aoo Aye barkat walay” Ap (R.A) yeh awaz sunkar walida sahiba ki goodh main chalay jatay. Ap (R.A) 10 baras ki umar main apnay shehar kay maktab main parhnay jatay. Farishtay Ap (R.A) kay gird chaltay. Jab madarsay pohonchtay to farishtay kahtay Waali Allah kay liay jaggah khali karo. Ap (R.A) nay Quran Majeed Jeelaan main hi hifz farmaya.

Safar-e-Baghdad Shareef:

Jab Ap (R.A) ki umar 18 baras ki hoi to Ap (R.A) nay tahseel-e-ilm kay liay Baghdad Shareef ka safar kya.

Aap (R.A) 400 mile say zaaid takleef or khater naak safar kar kay 488 hijri main shahar-Baghdad Shareef pohonchay or mashoor mohaddayseen Ulma-e-Mutaqeen say istaydadh aloom liya.

Takleef Ki Bardasht:

Shaikh Abu Abdullah Bukhari (R.A) say marwi hai kay farmaya Ap (R.A) nay mujh par aisi sakhtiyaan guzaari hain kay agar wo pahaaroon par guzarti to phut jatay. Mujh par jab sakhtiyoon ka hajoom hota to main zameen par lait jata or Quran Pak ki soorat ka wird karta. Meri saari takleefain door ho jateen.

Issi terhan Ap (R.A) nay yeh bhi farmaya hai kay jab main TALIB-E-ILMI kay zamanay main mashaikh o asaatza say ilm fiqa parha karta tha to sabq parh kar jungle ki taraf nikal jaya karta tha orBaghdad Shareef main na raha karta tha.

Takmeel-e-Ilm:

Bawajood in shaded massaib or takleef kay Ap (R.A) nay elawa deegar aloom kay Ilm-e-Qiraat, Ilm-e-Tafsia, Ilm-e-Hadees, Ilm-e-Fiqa taqreeban Ap (R.A) nay 200 aloom hasil kiay or Ulma-e-zamana say sabqat lay gaye In Aloom ki sanad takmeel Ap (R.A) nay Maah Zi-Al-Haj 496 main hasil ki.

Asaar-e-Wilayat:

Bachpan hi say Ap (R.A) ki paishani say assar-e-wilayat, buzurgi alaamat-e-taqwa wa parhaiz gari numaya or anwar-e-maarfat-o-wilayat tabaa thay. Jo baray zoor say is amar ki shadat daytay thay kay yeh hilal unqareeb iqtaab-e-aalim par badar ho kay chamkay ga. Ap (R.A) ka faizan Ilm zaahir-o-baatin isqadar shorah-e-affaaq hoa kay har taraf say loog Ap (R.A) kay pas akar jama ho gaye or ek bari jamat fazla-o-salah ki Ap (R.A) kay pas taiyyar ho gai. Log Ap (R.A) say Ilm haasil kar kay apnay apnay shahroon ko gaye or Ap (R.A) kay Mureed tammam mulkoon main phaiul gaye. Har shakhs Ap (R.A) kay aosaaf pasandeeda or khassaail hameeda ki nisbat rutb-UI-sana hoa.

Maamoolat-e-Ibadat-o-Riyazat:

Ap (R.A) kasrat-e-ibadat o shiddat-e-riyazaat main nihayat mustaqil mizaaj thay. Ap (R.A) kay dil main Allah ki muhabbat moajzun thi. Awail-e-Hal maqin bhi Ap (R.A) kabhi sust nahi hoaye Aksar din ko rozay rakhtay or har namaz punchgana kay liay taza wazoo or ghusal kartay . namaz-e-isha kay badh khalwat main tashreef lay jatay or subha tak bahir na aatay. Ager raat ko khailifa bhi ajata to siwaye subha kay mulaqat na hooti. Badh tolooh-e-fajr kay dua o aajzi main mashghool rehtay is waqt Ap (R.A) ko anwaar-e-Ellahi aisa chupa laytay kay agar koi shakhs Ap (R.A) ko nazar bhar kay daikhta to Ghaaliban uski basaarat jati rehti.

Ap (R.A) kay mujahiday ka yeh haal tha kay ek bar 4 baras tak chillay say nahi niklay or is darmiyan 7,7 rooz ka rooza hota tha.

Tadrees:

Ap (R.A) choon kay majmua aloom o fanon or nihayat Aali himat or sair chasham thay jo talba Ap (R.A) kay pass ajatay to phir inko kisi kay pass janay ki zaroorat na hoti thi. Ap (R.A) ki zaat choon kay Marjay ul Uloom-e-Aftaab thee.Ap (R.A) kay pass door daraz shahar or mulkoon say mushkil masaail hal kay liay atay. Or Ap (R.A) foran bila mutala kutub or khwas wa fiker kay us ka jawab bis sawab likh daytay. Ulma ko bhi is main majaal choon or charaan ki na hoti. Ap (R.A) hambli fiqah say taluq rakhtay thay or Immam Shafai or Hazrat Immam Hambal (R.A) kay fiqah kay mutabiq fatwa dia kartay thay.

Waaz Ki Ibtada:

Barooz hafta 16 shawaal 521 hijri ko Ap (R.A) nay Rasool Allah Sallal Laho Allehe Walyhi Wassallum ko khowab main daikha Rasool Allah Sallal Laho Allehe Walyhi Wassallum nay farmaya “AYE LAKHT-E-JIGAR TUM KU LOGON SAY KALAAM NAI KARTAY” Ap (R.A) nay arz kya“AYE PIDR-E-MAHARBAAN MAIN EK AJMI SHAKHS HOON FASAH-E-ARAB KAY SAMNAY KIS TERHA ZABAN KHOLOON” is par Ap Rasool Allah Sallal Laho Allehe Walyhi Wassallum nay or Hazrat Ali Karam Allah Wajh (R.A) nay apnay loaab-e-dayhain Ap (R.A) kay moon main dalay. Is kay badh dariya-e-sukhan Ap (R.A) kay moon say mojzaun hoa or Rabt-e-kalaam ka wo ghalba hoa kay zabt ka yarana raha. Ap (R.A) nay jab apni ZABAN-E-MUBARAK waaz main kholi to khas o aam kay azdhaam (hajoom) ki yeh kayfiyat hoi kay majlis main baithnay ki jaga na hoti Ap (R.A) ki mjlis main rija-lo-ghaib bhi Ap (R.A) kay waaz sunnay kay liay atay thay. Ap (R.A) ki mahfil-e-waz ka yeh haal hota kay samaieen wajd main akar bay kudh bay haal ho jatay thay koi zaar-o-qatar roota tha koi aaa-hain bharta koi naara marta tha or koi madhoosh ho kar zameen par loot-ta koi bayhoosh hota yahan tak kay 2 ya 3 janazay majlis-e-quddoos say dast-e-ba dast uthaye jatay.

Paishun-goiyaan:

Ap (R.A) kay mutaliq qabl-az-waqt wiladat-o-paish-az-zahoor Hazrat Rasool-Akram Sallal Laho Allehe Walyhi Wasallum or Hazrat Khizar (A.S) or Hazrat Imam Hassan Mujtaba (R.A) or Hazrat Imam Zain Ul Abideen (R.A) or Hazrat Imam Hassan Askari (R.A) or Shaikh Abu Bakar bin hawar bata Yahhi (R.A) or Shaikh Junaid Baghdadi (R.A) or Shaikh Abu Ahmed Abdullah Bin Ali Bin Moosa (R.A) or Shaikh Aqeel Manji (R.A) or Shaikh Ali Bin Wahab (R.A) or Shaikh Abu Bakar Khiraaz (R.A) or Shaikh Khiraaz Bin Mastoodai Bataiyhi (R.A) or Shaikh Taj Ul Arifeen Abu Al Wafa (R.A) or Shaikh Hammad Bin Muslim Dabaas (R.A) wagera buzurgan-e-deen nay paishun-goiyaan farmaai hain . jo hurf ba-hurf poori hoi.

Ikhlaaq-o-Aadaat:

Ap (R.A) Shareef ikhlaaq ka mujasma thay. Bawajood is jalaalt qadr or aloom riffat or wusaat ilm kay hamysha zaieefoon kay saath baithtay or faqeer o maskeenoon kay sath tawazay o takreem say paish aatay. Baroon ki izzat kartay chotoon par shafqat farmatay. Mahmanoon or azizoon or hum nasheenoon ko aziz rakhtay. Sab kay sath nihayat shagufta rooi or dil jooi say paish aatay. Har ek ko yehi maloom hota kay Hazoor (R.A) mujh say hi ziyadah shafqat o muhabbat rakhtay hain.

Karamaat:

Hazrat Makhdoom Ganj sahib maqamat-e-aaliya farmatay hain kay Ap (R.A) ki karamaat o manaaqib kaseera is-qadar hain kay ager tammam zameen kay darakhtoon kay pattay kaaghaz or shakhain qalm banai jain or samandar ko siyaahi bana diya jaye or tammam makhlooq zameen ki asman ki jama ho kar likhay to har giz khatum na hoon . balkay likhnay walay aajiz o taasir ajain.

Tareekh-e-Rehlat:

Shab-e-Hafta Badh-az namaz-e-Isha ba-tareekh 17 maah rabi-ul-akhir 561 hijri ba-mutabiq 1166 iswi. Ap (R.A) ki namaz-e-Janazah AP (R.A) kay baray sahab zaday Syed Abdul Wahab (R.A) nay parhai or Baghdad Shareef kay madarsay Baab Al-azj main Rooza-e-Mutahra masjid kay konay main Marja-Ul-Khalaiq hai.

Khandan Gillania Baghdadia (Mojooda) Ki Wazaahat:

Baghdad Shareef mulk Iraq main mojooda khandan Geelania Syedna Shaikh Ul Mashaikh Hazrat Abdul Aziz (R.A) khalf Al Rasheed Hazrat Mehboob-e-Subhaani Qutb-e-Rabbani Haikal Samdaani Peer Dastagir Syedna Abdul Qadir Jeelani Quds Sarah-Ul-Aziz ki Olaad Mutahra abaad hai jiski chaar shakhain hain.

Awwal:

Olaad Hazrat Syed Ali Al Qadri Al Geelani Ibn-e-Syed Salman (R.A). Inka Laqb bait Syed Ali mashoor hai.

Doyiam:

Olaad Syed Zakariya Al Qadri Al Geelani (R.A).Inka laqb bait Syed Zakariya mashoor hai.

Soom:

Olad Syed Muraad Al Qadri Al Geelani (R.A) inka laqb bait Syed Muraad mashoor hai.

Chaharum:

Olaad Syed Khamees Al Qadri Geelani Inka laqb bait Syed Khamees mashoor hai.

In charoon gharoon kay afraad zakoor-o-arnaas khoor do klaaan ki majmooi taddad 180 kay qareeb hai or yehi asli Geelani Khandan Syedna Hazrat Abdul Aziz Mamdooh Al sadar ki Olaad hain.

Ohdaa Naqabat Or Towliyat kay mustahaiq:

Mehboob-e-Subhani Ghous-Ul-Samdaani Qutb-e-Rabbani Hazrat Ghous-Ul-Aazam Peeran-e-Peer Dastagir kay pardah farmanay kay badh tabligh o arshadat rushd o hidayat madarsa wa khanqa-e-Qadria wa Masjid ki hifazat balkay tammam deegar shobajaat ki taraf An-Hazrat (R.A) kay Sahab-zaadgaan Syedna Abdul Razzaq wa Syedna Abdul Aziz Shaban nay towajo mabzool farmai. Chuna-chay nasal ba nasal silsila qaaim raha. Jab Syedna Hazrat Abu Nasar (R.A) badaraan khilafat-e-abbasia kay Qazi Al Qazah or Waali-e-Ahd khilafat Abbasia muntakhib hoaye to inkay wisaal kay badh har 2 baradraan ki olaad nay bahmi rishtay dariyoon kay zariyay or yekja rayhaaish pazeer ho kar taaluqaat baradarana ko istwaaar kya. Chuna-chay khalifa Abbasia o Usmania nay in taluqaat bradarana ko mahfooz rakhtay hoaye kabhi Syedna Abdul Razzaq ki olaad say or kabhi Syedna Abdul Aziz (R.A) ki olaad say irshad ba irshad baaligh o aaqil, dana o samajhdaar ko muntakhib kar kay ohda-e-naqabat o towaliyat atta farmatay rahy rahnay ka silsila la matnaahi jaari rakha.

خادمِ درے میراں ؓ ؛ قیصر رزاق بھنڈر الحجروی

💚 یا حضرت سخی دم میراں لعل پاک بہاول شیر قلندر ؒ 💙

Facebook Comments

Categories:   ؒسجادہ نشین حضور سید اعجاز علی گیلانی

Comments

Sorry, comments are closed for this item.